Sunday, January 16, 2005

Ae Mere Deewane Yaar

This wonderful poem is from my friend Divya. (Thanks for dedicating this to me Divs). :-)

Ae mere deewane yaar

Khud par kar zaara sa aitbar
Mana tu hai bada bekarar
Tere dil par nahi tera ikhtiyar
Par thoda sa kar intezar
Ae mere deewane yaar yehi to hai pyar

Humko bhi to milna hai usse ek bar
Jiska karta hai tu shaamo sehar deedar
Jise dhoondti hai teri naazar
Jo aayi hai teri zindagi main banke bahar
Layi hai tere chehre par nayi nikhar
Ae mere deewane yaar yehi to hai pyar

Abhi to dekha tha use pehli baar
Abhi to hui hai akhe char
Abhi to kiya hai tune izhaar
Abhi to chal rahi hai meethi takraar
Yeh kar degi use bhi ek din bekaraar
Ae mere deewane yaar yehi to hai pyaar

Ab tak to woh teri chahat se thi bekhabar
Hoga teri chahat ka uspar dheere dheere asar
To kya hua agar aaj karti hai inkar
Kab tak na sunegi tere dil ki pukar
Kar legi ek din akhir ikraar
Ae mere deewane yaar yehi to hai pyar!!!!

1 comment:

Anonymous said...

such a wonderful poem...
and no comments still !